aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nadeem Gullani's Photo'

Nadeem Gullani

1982 | Pakistan

Sher of Nadeem Gullani

umr bhar rahnā hai ta.abīr se gar duur tumheñ

phir mire ḳhvāb meñ aane zarūrat kyā hai

umr bhar rahna hai tabir se gar dur tumhein

phir mere KHwab mein aane ki zarurat kya hai

duniyā badal ga.ī thī koī ġham na thā mujhe

tum bhī badal ga.e the ye hairānī khā ga.ī

duniya badal gai thi koi gham na tha mujhe

tum bhi badal gae the ye hairani kha gai

tamām umr tire intizār meñ hamdam

ḳhizāñ-rasīda rahā huuñ bahār kar mujh ko

tamam umr tere intizar mein hamdam

KHizan-rasida raha hun bahaar kar mujh ko

samajhtā hai gar fuzūl mujhe

kar ke himmat zarā bhuul mujhe

tu samajhta hai gar fuzul mujhe

kar ke himmat zara sa bhul mujhe

tujh se maiñ jañg elaan bhī kar dūñgā

mere dushman mire qad ke barābar to aa

tujh se main jang ka elan bhi kar hi dunga

mere dushman tu mere qad ke barabar to aa

tumheñ hamārī mohabbatoñ ke hasīn jazbe bulā rahe haiñ

jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naġhme bulā rahe haiñ

tumhein hamari mohabbaton ke hasin jazbe bula rahe hain

jo hum ne likkhe the tum pe hamdam wo sare naghme bula rahe hain

nahīñ hai jis hal ab to koī 'nadīm' bas ik sivā tumhāre

maiñ ek aisā mas.ala huuñ mujhe duāoñ meñ yaad rakhnā

nahin hai jis ka hal ab to koi 'nadim' bas ek siwa tumhaare

main ek aisa hi masala hun mujhe duaon mein yaad rakhna

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now