Sher of Nazar Barni
ab bach ke kahāñ jaa.e har ik samt hai dīvār
biivī mire pīchhe hai to bachcha mire aage
ab bach ke kahan jae har ek samt hai diwar
biwi mere pichhe hai to bachcha mere aage
das bachchoñ ke abbā haiñ magar hai yahī ḳhvāhish
har vaqt hī baiThī rahe lailā mire aage
das bachchon ke abba hain magar hai yahi KHwahish
har waqt hi baiThi rahe laila mere aage
kisī ko de ke ''vote'' apnā navā-sañj-e-fuġhāñ kyuuñ ho?
jo sar ḳhālī ho ''bheje'' se to phir muñh meñ zabān kyuuñ ho?
kisi ko de ke wote apna nawa-sanj-e-fughan kyun ho?
jo sar KHali ho bheje se to phir munh mein zaban kyun ho?
hai bajā kaam kī chorī meñ to mash.hūr haiñ ham
peT rishvat se jo bharte haiñ to majbūr haiñ ham
hai baja kaam ki chori mein to mashhur hain hum
peT rishwat se jo bharte hain to majbur hain hum
''qafas meñ mujh se rūdād-e-chaman kahte na Dar hamdam''
chalā hai jis pe ''bulldozer'' vo merā hī makāñ kyuuñ ho?
qafas mein mujh se rudad-e-chaman kahte na Dar hamdam
chala hai jis pe bulldozer wo mera hi makan kyun ho?
'nazar' ne un ko jab dekhā to daddy saath the un ke
hamāre darmiyāñ har vaqt vo pīr-e-muġhāñ kyuuñ ho?
'nazar' ne un ko jab dekha to daddy sath the un ke
hamare darmiyan har waqt wo pir-e-mughan kyun ho?