aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nusrat Gwaliari's Photo'

Nusrat Gwaliari

1938 | Delhi, India

Sher of Nusrat Gwaliari

1.5K
Favorite

SORT BY

bhuul jaane mujhe mashvara dene vaale

yaad ḳhud ko bhī na maiñ aa.uuñ kuchh aisā kar de

bhul jaane ka mujhe mashwara dene wale

yaad KHud ko bhi na main aaun kuchh aisa kar de

raat ke lamhāt ḳhūnī dāstāñ likhte rahe

sub.h ke aḳhbār meñ hālāt behtar ho ga.e

raat ke lamhat KHuni dastan likhte rahe

subh ke aKHbar mein haalat behtar ho gae

kuchh ehtiyāt parinde bhī rakhnā bhuul ga.e

kuchh intiqām bhī āñdhī ne badtarīn liye

kuchh ehtiyat parinde bhi rakhna bhul gae

kuchh intiqam bhi aandhi ne badtarin liye

maiñ ajnabī huuñ magar tum kabhī jo sochoge

koī qarīb rishta zarūr niklegā

main ajnabi hun magar tum kabhi jo sochoge

koi qarib ka rishta zarur niklega

kuchh nau-javān shahr se aa.e haiñ lauT kar

ab daav par lagī huī izzat hai gaañv

kuchh nau-jawan shahr se aae hain lauT kar

ab daw par lagi hui izzat hai ganw ki

ham tirī talḳh guftugū sun kar

chup haiñ lekin sabab samajhte haiñ

hum teri talKH guftugu sun kar

chup hain lekin sabab samajhte hain

vo gulābī bādaloñ meñ ek niilī jhiil

hosh qaa.em kaise rahte thā kuchh aisā libās

wo gulabi baadalon mein ek nili jhil si

hosh qaem kaise rahte tha hi kuchh aisa libas

DhūñDne vaale ġhalat-fahmī maiñ the

vo anā ke saath apne sur meñ thā

DhunDne wale ghalat-fahmi main the

wo ana ke sath apne sur mein tha

milnā paḌtā hai hameñ ḳhud se bhī ġhairoñ tarah

us ne māhaul kuchh aisā banā rakkhā hai

milna paDta hai hamein KHud se bhi ghairon ki tarah

us ne mahaul hi kuchh aisa bana rakkha hai

har shaḳhs apnī apnī jagah yuuñ hai mutma.in

jaise ki jāntā ho qazā hai ruḳh kidhar

har shaKHs apni apni jagah yun hai mutmain

jaise ki jaanta ho qaza ka hai ruKH kidhar

kitne zehnoñ ko kar gayā gumrāh

ik baḌe aadmī chhoTā-pan

kitne zehnon ko kar gaya gumrah

ek baDe aadmi ka chhoTa-pan

bachcha majbūriyoñ ko kyā jaane

ik khilaunā ḳharīdnā thā mujhe

bachcha majburiyon ko kya jaane

ek khilauna KHaridna tha mujhe

husn utnā ek paikar maiñ simaT saktā nahīñ

bhī mere kisī ehsās tasvīr hai

husn utna ek paikar main simaT sakta nahin

tu bhi mere hi kisi ehsas ki taswir hai

diloñ ke biich dīvār gir bhī saktī thī

kisī ne kaam liyā nahīñ tadabbur se

dilon ke bich ki diwar gir bhi sakti thi

kisi ne kaam liya hi nahin tadabbur se

qānūn jaise kho chukā sadiyoñ e'timād

ab kaun dekhtā hai ḳhatā hai ruḳh kidhar

qanun jaise kho chuka sadiyon ka e'timad

ab kaun dekhta hai KHata ka hai ruKH kidhar

ujaaḌ taptī huī raah meñ bhaTakne lagī

na jaane phuul ne kyā kah diyā thā titlī se

ujaD tapti hui rah mein bhaTakne lagi

na jaane phul ne kya kah diya tha titli se

vo patā apnī shāḳh se zarā judā huā thā

na jaane phir kahāñ kahāñ havā uḌā ke le ga.ī

wo pata apni shaKH se zara juda hua hi tha

na jaane phir kahan kahan hawa uDa ke le gai

mire charāġh nannhī lau se ḳhā.if hai

ajiib vaqt paḌā hai siyāh āñdhī par

mere charagh ki nannhi si lau se KHaif hai

ajib waqt paDa hai siyah aandhi par

bolte rahte haiñ nuqūsh us ke

phir bhī vo shaḳhs kam-suḳhan hai bahut

bolte rahte hain nuqush us ke

phir bhi wo shaKHs kam-suKHan hai bahut

ik qism aur zinda rahne

vaar tīkhā sahī muqaddar

ek qism aur zinda rahne ki

war tikha sahi muqaddar ka

vo andhī raah meñ bīnā.iyāñ bichhātā rahā

badan pe zaḳhm liye aur laboñ pe diin liye

wo andhi rah mein binaiyan bichhata raha

badan pe zaKHm liye aur labon pe din liye

shafaq phir koī utrī hai mujh meñ

ye kaisī raushnī phailī hai mujh meñ

shafaq si phir koi utri hai mujh mein

ye kaisi raushni phaili hai mujh mein

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now