Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Pranav Mishra Tejas's Photo'

Pranav Mishra Tejas

1999 | Lakhimpur Kheri, India

Young Urdu Poet

Young Urdu Poet

Sher of Pranav Mishra Tejas

mujh se ḳhalā meñ baat bhī karnā nahīñ rafīq

aise ḳhalā meñ baat bhī karnā hai ik gunāh

mujh se KHala mein baat bhi karna nahin rafiq

aise KHala mein baat bhi karna hai ek gunah

apnī talab meñ shauq se jagte haiñ rāt-bhar

ham ko kisī ke ishq maarā na jāniye

apni talab mein shauq se jagte hain raat-bhar

hum ko kisi ke ishq ka mara na jaaniye

cigarette se ke duur girā ḳhaak ho gayā

aaya sharar shakl meñ soz-e-nihāñ dard

cigarette se ja ke dur gira KHak ho gaya

aaya sharar ki shakl mein soz-e-nihan ka dard

sajda huā hamesha faqīroñ ke ilm par

ham āgahī pe marte haiñ poshāk par nahīñ

sajda hua hamesha faqiron ke ilm par

hum aagahi pe marte hain poshak par nahin

jaate nahīñ haiñ aur kahīñ phāñkne ko dhuul

sahrā hamāre ghar hai mehmān in dinoñ

jate nahin hain aur kahin phankne ko dhul

sahra hamare ghar ka hai mehman in dinon

na jaane kaun turpan udheḌ rakkhī hai

kisī ke jaane se itnā bhī kaun rotā hai

na jaane kaun si turpan udheD rakkhi hai

kisi ke jaane se itna bhi kaun rota hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now