Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Priyamvada Ilhan's Photo'

Priyamvada Ilhan

1991 | Bikaner, India

Sher of Priyamvada Ilhan

1.1K
Favorite

SORT BY

nā-ummīdī meñ bhī ik ummīd bañdhī rahtī hai

pahle pahle ishq aañsū TuuTā taara lagtā hai

na-ummidi mein bhi ek ummid bandhi si rahti hai

pahle pahle ishq ka aansu TuTa tara lagta hai

ḳhabar sabā ne jo bichhḌā thā ham se

bichhaḌ kar bhī ham se hamārā bahut hai

KHabar di saba ne jo bichhDa tha hum se

bichhaD kar bhi hum se hamara bahut hai

fikr terī Thiik par merī anā bhī to soch

duur se bas dekh le zaḳhmoñ ko mere chhū nahīñ

fikr teri Thik par meri ana ka bhi to soch

dur se bas dekh le zaKHmon ko mere chhu nahin

parbat sahrā nadiyāñ jangal hamrāz tire honā chāheñ

ḳhāmosh parinde ab to nikal dukh ko sargam karne ke liye

parbat sahra nadiyan jangal hamraaz tere hona chahen

KHamosh parinde ab to nikal dukh ko sargam karne ke liye

vo ḳhafā haiñ jaane kis kis baat par

ham ne hai jo ḳhatā kuchh aur hai

wo KHafa hain jaane kis kis baat par

hum ne ki hai jo KHata kuchh aur hai

tujh ko kar bhī tujhe paane ḳhvāhish hai abhī

mere dariyā alag terī ravānī hai alag

tujh ko pa kar bhi tujhe pane ki KHwahish hai abhi

mere dariya tu alag teri rawani hai alag

kiije iz.hār-e-mohabbat chāhe jo anjām ho

zindagī meñ zindagī jaisā koī to kaam ho

kije izhaar-e-mohabbat chahe jo anjam ho

zindagi mein zindagi jaisa koi to kaam ho

āshnā nazreñ to kab ho ga.iiñ nā-āshnā

phir bhī aadat hai āte-jāte vo ghar dekhnā

aashna nazren to kab ki ho gain na-ashna

phir bhi aadat si hai aate-jate wo ghar dekhna

zarā baat nahīñ hai kisī ho jaanā

ki umr lagtī hai but ko ḳhudā banāne meñ

zara si baat nahin hai kisi ka ho jaana

ki umr lagti hai but ko KHuda banane mein

ham sahrā vaale haiñ badrā ye prem rim-jhim aur kahīñ

aanā hai yahāñ to ā.ī.yo jam kar jham-jham karne ke liye

hum sahra wale hain badra ye prem ki rim-jhim aur kahin

aana hai yahan to aaiyo tu jam kar jham-jham karne ke liye

jo kahkashāñ nazar aatī haiñ mirī āñkheñ

guzishta shab ke ye aañsū haiñ jo sitāre hue

jo kahkashan si nazar aati hain meri aankhen

guzishta shab ke ye aansu hain jo sitare hue

ham nahīñ haiñ log vo jo ro sakeñ

jo milī ham ko sazā kuchh aur hai

hum nahin hain log wo jo ro saken

jo mili hum ko saza kuchh aur hai

alag baat hai ye ki tum sun na paa.e

magar ham ne tum ko pukārā bahut hai

alag baat hai ye ki tum sun na pae

magar hum ne tum ko pukara bahut hai

dil ko honā hai fanā rahnā hai qaa.em aql ko

hastī-e-ādam kahāñ jaa.e ye fitrat chhoḌ kar

dil ko hona hai fana rahna hai qaem aql ko

hasti-e-adam kahan jae ye fitrat chhoD kar

lafz-e-kun se ek duniyā ḳhalq karnā thā kamāl

kun ke aage jo huā us kahānī aur hai

lafz-e-kun se ek duniya KHalq karna tha kamal

kun ke aage jo hua us ki kahani aur hai

murda āñkheñ dekhne se baḌh ke vahshat-nāk hai

zinda āñkhoñ meñ kisī maut Dar dekhnā

murda aankhen dekhne se baDh ke wahshat-nak hai

zinda aankhon mein kisi ki maut ka Dar dekhna

ḳhud-kushī ik āḳhirī koshish hai zinda rahne

ḳhud-kushī karne ko ik parvāh bhī to chāhiye

KHud-kushi ek aaKHiri koshish hai zinda rahne ki

KHud-kushi karne ko ek parwah bhi to chahiye

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now