Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qamar Saqi's Photo'

Qamar Saqi

1982 | Dhar, India

Sher of Qamar Saqi

ab is se aage ḳhudā jaane kab bikhar jā.ūñ

yahāñ talak to bahut ban sañvar ke aayā huuñ

ab is se aage KHuda jaane kab bikhar jaun

yahan talak to bahut ban sanwar ke aaya hun

vo ik mazāq jise log ishq kahte haiñ

maiñ us mazāq kā jurmāna bhar ke aayā huuñ

wo ek mazaq jise log ishq kahte hain

main us mazaq ka jurmana bhar ke aaya hun

hijr kā ek pal bhī sah na sakā

us ke office meñ naukrī kar lī

hijr ka ek pal bhi sah na saka

us ke office mein naukri kar li

safar kā vaqt raushan ho rahā hai

badan pe rāste ubhre hue haiñ

safar ka waqt raushan ho raha hai

badan pe raste ubhre hue hain

dukh ke kāñToñ pe so rahā huuñ maiñ

ġham ke sho.aloñ pe jal rahā hai badan

dukh ke kanTon pe so raha hun main

gham ke shoalon pe jal raha hai badan

ab mirī dauḌne kī ḳhvāhish hai

farsh pe aag ko bikherā jaa.e

ab meri dauDne ki KHwahish hai

farsh pe aag ko bikhera jae

maiñ ne ye barsāt ro kar kaaT dī

tū dikhā paanī se paanī kaaT kar

main ne ye barsat ro kar kaT di

tu dikha pani se pani kaT kar

Recitation

Speak Now