Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Qasim Ali Khan Afridi

Sher of Qasim Ali Khan Afridi

368
Favorite

SORT BY

lab-e-shīrīñ se agar ho na terā lab shīrīñ

kohkan bhī to ab dāman-e-kohsār na chhoḌ

lab-e-shirin se agar ho na tera lab shirin

kohkan tu bhi to ab daman-e-kohsar na chhoD

mujhe ḳhushī ki giraftār maiñ huā terā

to shaad ho ki hai aisā shikār asiir mirā

mujhe KHushi ki giraftar main hua tera

to shad ho ki hai aisa shikar asir mera

shaiḳh mujh ko na Darā apnī musalmānī thaam

ham faqīroñ kisī rañg se īmān na jaa.e

shaiKH mujh ko na Dara apni musalmani tham

hum faqiron ka kisi rang se iman na jae

bas nahīñ chaltā hai varna apne mar jaane ke saath

pheñk dete khod kar duniyā sab buniyād ham

bas nahin chalta hai warna apne mar jaane ke sath

phenk dete khod kar duniya ki sab buniyaad hum

hai judā sajda hindū musalmāñ magar

fahm vāloñ ke ta.iiñ dair-o-haram donoñ ek

hai juda sajda ki ja hindu musalman ki magar

fahm walon ke tain dair-o-haram donon ek

kaam hai matlab se chāhe kufr hove ki diiñ

pahuñchnā hai kisī sūrat se apne yaar tak

kaam hai matlab se chahe kufr howe ya ki din

ja pahunchna hai kisi surat se apne yar tak

nāsehā va.az jo kahtā thā tujhe bin dekhe

dekhte tujhe phir jaan ko khote dekhā

naseha waz jo kahta tha tujhe bin dekhe

dekhte hi tujhe phir jaan ko khote dekha

nargisī chashm dikhā kar ke vo vahshat-zada yaar

ye gayā vo gayā jis tarah ġhazāl aap se aap

nargisi chashm dikha kar ke wo wahshat-zada yar

ye gaya wo gaya jis tarah ghazal aap se aap

yaar kūcha hai masjūd-e-ḳhalā.iq dekh le

sañg hai ka.abe meñ mūrat dair meñ hai mushtarak

yar ka kucha hai masjud-e-KHalaiq dekh le

sang hai kabe mein murat dair mein hai mushtarak

ḳhudā ko sajda kar ke mubtazil zāhid huā ab to

to kar mah-jabīñ ke āstāñ pe jubba-sā.ī kar

KHuda ko sajda kar ke mubtazil zahid hua ab to

to ja kar mah-jabin ke aastan pe jubba-sai kar

sharāb sāqī-e-kausar se liijo 'āfrīdī'

ye bāda-noshī-e-duniyā hai tujh ko nañg-e-sharāb

sharab saqi-e-kausar se lijo 'afridi'

ye baada-noshi-e-duniya hai tujh ko nang-e-sharab

maarā jāvegā bhaag ai nāseh

dekh ye nāznīñ savār aayā

mara jawega bhag ai naseh

dekh ye naznin sawar aaya

ajab tarah hai duniyā ba-rañg-e-bū-qalamūñ

ki hai har ek judāgāna al-amāñ tanhā

ajab tarah ki hai duniya ba-rang-e-bu-qalamun

ki hai har ek judagana al-aman tanha

ishq hai ai dil kaThin kuchh ḳhāna-e-ḳhāla nahīñ

rakh dilerāna qadam tujh ko ho imdād-e-dād

ishq hai ai dil kaThin kuchh KHana-e-KHala nahin

rakh dilerana qadam ta tujh ko ho imdad-e-dad

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now