Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saadullah Shah's Photo'

Saadullah Shah

1958 | Lahore, Pakistan

Sher of Saadullah Shah

mujh koī jahān meñ nādān bhī na ho

kar ke jo ishq kahtā hai nuqsān bhī na ho

mujh sa koi jahan mein nadan bhi na ho

kar ke jo ishq kahta hai nuqsan bhi na ho

tum ne kaisā ye rābta rakkhā

na mile ho na fāsla rakkhā

tum ne kaisa ye rabta rakkha

na mile ho na fasla rakkha

ruke na ruke faisla tujh par chhoḌā

dil ne dar khol diye haiñ tirī āsānī ko

tu ruke ya na ruke faisla tujh par chhoDa

dil ne dar khol diye hain teri aasani ko

aise lagtā hai ki kamzor bahut hai bhī

jiit kar jashn manāne zarūrat kyā thī

aise lagta hai ki kamzor bahut hai tu bhi

jit kar jashn manane ki zarurat kya thi

na rusvā ho is liye ham ne

apnī chāhat pe dā.era rakkhā

tu na ruswa ho is liye hum ne

apni chahat pe daera rakkha

apnī socheñ safar meñ rahtī haiñ

us ko paane justujū dekho

apni sochen safar mein rahti hain

us ko pane ki justuju dekho

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now