aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sadiq's Photo'

Sadiq

1943 | Delhi, India

Sher of Sadiq

kaaT āgāhiyoñ fasl magar

zehan meñ kuchh na.e savāl ugā

kaT aagahiyon ki fasl magar

zehan mein kuchh nae sawal uga

fursat ho to ye jism bhī miTTī meñ dabā do

lo phir maiñ zamāñ aur makāñ se nikal aayā

fursat ho to ye jism bhi miTTi mein daba do

lo phir main zaman aur makan se nikal aaya

un yaad meñ bahte aañsū ḳhushk agar ho jā.eñge

saat samundar apnī ḳhālī ā.ankhoñ meñ bhar lā.ūñgā

un ki yaad mein bahte aansu KHushk agar ho jaenge

sat samundar apni KHali aaankhon mein bhar launga

uThā laayā sabhī rāste vo kāñdhoñ par

yaqīn us pe na kartā to maiñ kidhar jaatā

uTha hi laya sabhi raste wo kandhon par

yaqin us pe na karta to main kidhar jata

gumāñ na thā ki lifāfe meñ ḳhat ke badle vo

lahū-luhān taḌaptī zabān rakh degā

guman na tha ki lifafe mein KHat ke badle wo

lahu-luhan taDapti zaban rakh dega

is ghūmtī zamīn mehvar toḌ do

be-kār gardishoñ pe ḳhafā ho rahe huuñ kyuuñ

is ghumti zamin ka mehwar hi toD do

be-kar gardishon pe KHafa ho rahe hun kyun

apne gale pe chaltī chhurī bhī dhyān rakh

vo tez hai kund zarā dhaar dekh le

apne gale pe chalti chhuri ka bhi dhyan rakh

wo tez hai ya kund zara dhaar dekh le

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now