Sher of Saeed Rahi
rusvā.ī to vaise bhī taqdīr hai āshiq kī
zillat bhī milī ham ko ulfat ke fasāne se
ruswai to waise bhi taqdir hai aashiq ki
zillat bhi mili hum ko ulfat ke fasane se
tum nahīñ ġham nahīñ sharāb nahīñ
aisī tanhā.ī kā javāb nahīñ
tum nahin gham nahin sharab nahin
aisi tanhai ka jawab nahin
dost ban ban ke mile mujh ko miTāne vaale
maiñ ne dekhe haiñ ka.ī rañg zamāne vaale
dost ban ban ke mile mujh ko miTane wale
main ne dekhe hain kai rang zamane wale
mere jaise ban jāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
dīvāroñ se sar Takrāoge jab ishq tumheñ ho jā.egā
mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaega
diwaron se sar Takraoge jab ishq tumhein ho jaega
gaahe gaahe ise paḌhā kījiye
dil se behtar koī kitāb nahīñ
gahe gahe ise paDha kijiye
dil se behtar koi kitab nahin