Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Saifi Azmi

Sher of Saifi Azmi

kaash itnā samajh lete ye ahl-e-kārvāñ

fāsle baḌh jaate haiñ sahmī huī raftār se

kash itna hi samajh lete ye ahl-e-karwan

fasle baDh jate hain sahmi hui raftar se

aañkh nam ruḳh par udāsī dard bhī dil ke qarīb

kyā mohabbat aa ga.ī hai apnī manzil ke qarīb

aankh nam ruKH par udasi dard bhi dil ke qarib

kya mohabbat aa gai hai apni manzil ke qarib

har lafz-e-ārzū meñ jhalak un aa ga.ī

un ko nikāltā rahā dāstāñ se maiñ

har lafz-e-arzu mein jhalak un ki aa gai

un ko nikalta hi raha dastan se main

ḳhushī se phūleñ na ahl-e-sahrā abhī kahāñ se bahār aa.ī

abhī to pahuñchā hai ābloñ tak mirā mazāq-e-barhana-pā.ī

KHushi se phulen na ahl-e-sahra abhi kahan se bahaar aai

abhi to pahuncha hai aablon tak mera mazaq-e-barhana-pai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now