Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sardar Anjum's Photo'

Sardar Anjum

1941 - 2015 | Punjab, India

Sher of Sardar Anjum

chalo baañT lete haiñ apnī sazā.eñ

na tum yaad aao na ham yaad aa.eñ

TRANSLATION

Lets share our punishments between us two,

You don’t remember me, I won’t remember you.

Sagar Akbarabadi

chalo banT lete hain apni sazaen

na tum yaad aao na hum yaad aaen

TRANSLATION

Lets share our punishments between us two,

You don’t remember me, I won’t remember you.

Sagar Akbarabadi

zindagī ik imtihāñ hai imtihāñ Dar nahīñ

ham añdheroñ se guzar kar raushnī kahlā.eñge

zindagi ek imtihan hai imtihan ka Dar nahin

hum andheron se guzar kar raushni kahlaenge

sabhī ne lagāyā hai chehre pe chehra

kise yaad rakkheñ kise bhuul jaa.eñ

sabhi ne lagaya hai chehre pe chehra

kise yaad rakkhen kise bhul jaen

kabhī kabhī mujhe yaad kar to letī hai

sukūn itnā kaafī hai zindagī ke liye

kabhi kabhi tu mujhe yaad kar to leti hai

sukun itna sa kafi hai zindagi ke liye

vo moḌ jis ne hameñ ajnabī banā Daalā

us ek moḌ pe dil ab bhī gungunātā hai

wo moD jis ne hamein ajnabi bana Dala

us ek moD pe dil ab bhi gungunata hai

ġhamoñ ne gher liyā hai mujhe to kyā ġham hai

maiñ muskurā ke jiyūñgā tirī ḳhushī ke liye

ghamon ne gher liya hai mujhe to kya gham hai

main muskura ke jiyunga teri KHushi ke liye

ġham-e-hayāt jhagḌā miTā rahā hai koī

chale bhī aao ki duniyā se rahā hai koī

gham-e-hayat ka jhagDa miTa raha hai koi

chale bhi aao ki duniya se ja raha hai koi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now