Sher of Shahab Lakhnavi
dayār-e-ġhair meñ luTte to koī baat na thī
luTe vatan meñ to sadma huā na jaane kyuuñ
dayar-e-ghair mein luTte to koi baat na thi
luTe watan mein to sadma hua na jaane kyun
sāmne mohabbat ke hech hai siyāsat bhī
jab dimāġh thak jaa.e dil se kaam le ai dost
samne mohabbat ke hech hai siyasat bhi
jab dimagh thak jae dil se kaam le ai dost
karo gunāh-e-mohabbat tamām umr 'shahāb'
ḳhudā kī dī huī ne.amat butoñ ke kaam aa.e
karo gunah-e-mohabbat tamam umr 'shahab'
KHuda ki di hui neamat buton ke kaam aae
nāla-e-bulbul se ġhunchoñ ke kaleje phaT ga.e
gulsitāñ vaale samajhte haiñ ki gul ḳhandāñ hue
nala-e-bulbul se ghunchon ke kaleje phaT gae
gulsitan wale samajhte hain ki gul KHandan hue
kaun ehsān-e-nā-ḳhudā.ī le
is se behtar to Duub jaanā hai
kaun ehsan-e-na-KHudai le
is se behtar to Dub jaana hai
mai-ḳhāna-e-hastī meñ muflis kī javānī kyā
ik laġhzish-e-mastāna do-chār qadam jaise
mai-KHana-e-hasti mein muflis ki jawani kya
ek laghzish-e-mastana do-chaar qadam jaise
aur baḌhte to ḳhudā.ī kā bhī da.ave karte
ḳhair guzrī ki ye but rah ga.e but-ḳhāne meñ
aur baDhte to KHudai ka bhi dawe karte
KHair guzri ki ye but rah gae but-KHane mein