aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
jab tak thā apnā hosh vo rahte the dūr-dūr
ab aa ga.e qarīb to apnā patā nahīñ
jab tak tha apna hosh wo rahte the dur-dur
ab aa gae qarib to apna pata nahin
har mauj-e-tund jāntī hai nā-ḳhudā.iyāñ
tūfāñ to mere saath hai gar nāḳhudā nahīñ
har mauj-e-tund jaanti hai na-KHudaiyan
tufan to mere sath hai gar naKHuda nahin
kyā tā.at-e-mudām kā in.aam hai yahī
yuuñ jī rahe haiñ jaise hamārā ḳhudā nahīñ
kya taat-e-mudam ka inam hai yahi
yun ji rahe hain jaise hamara KHuda nahin
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books