aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
2000 | Surat, India
hālāñki ek shaḳhs tumhārī jagah pe hai
lekin tumhārā is se ḳhalā bhar nahīñ rahā
haalanki ek shaKHs tumhaari jagah pe hai
lekin tumhaara is se KHala bhar nahin raha
vahshat ne mujh hasīn ko behāl kar diyā
kamzor dil ke log na dekheñ mirī taraf
wahshat ne mujh hasin ko behaal kar diya
kamzor dil ke log na dekhen meri taraf
hamārī aañkh ke aañsū sameTo
tumhārā is se ḳharcha chal rahā hai
hamari aankh ke aansu sameTo
tumhaara is se KHarcha chal raha hai
pūchh mujh se ki kis tarah maiñ ne
terī tasvīr pe guzārā kiyā
puchh mujh se ki kis tarah main ne
teri taswir pe guzara kiya
zindagī ek film hai merī
jis meñ hañsne kā scene hai hī nahīñ
zindagi ek film hai meri
jis mein hansne ka scene hai hi nahin
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books