Quotes of Syed Ehtisham Husain
Tanhaai ka ehsaas agar bimaari na ban jaye to usi tarah aarzi hai jaise maut ka khauf.

Urdu shaairi ka pas-manzar poori zindagi hai.

Ghazal apne mizaaj ke aitbaar se oonche aur muhazzab tabaqe ki cheez hai. Ismein aam insaan nahi aate.

Tanz ka paudha muaasharati shaan aur siyaasi kashmakash ki hawaaon mein panapta hai.

Agar itaa'at par zabt-e-nafs ka ehtisaab jaari na rahe to khudi ka mutalaashi khatarnaak raaston par ja sakta hai.

Adab ki samaaji ahmiyat us waqt tak samajh mein nahi aa sakti, jab tak hum adeeb ko ba-sha’oor na maanein.

Samaaji kashmakash se paida hone waale adab ka jitna zakheera Urdu mein faraaham ho gaya hai utna shaayad Hindustan ki kisi doosri zabaan mein nahi hai.

Sabse zyada jo but insaan ki raah mein haael hota hai, wo aaba-o-ajdaad ki taqleed aur rasm-o-rivaaj ki pairavi ka but hai. Jisne ise tod liya uske liye aage raasta saaf ho jaata hai.

Zindagi ko naye tajurbon ki raah par daalna, bandhe-take usoolon se inhiraaf kar ke zindagi mein naee qadron ki justujoo karna but-shikani hai.

Shayad yeh bahas kabhi khatm na hogi ki naqqaad ki zarurat hai bhi ya nahi. Bahas khatm ho ya na ho, duniya mein adeeb bhi hain aur naqqaad bhi.

Shaa'ir aur adeeb naqqaad ki ungli pakad kar nahi chal sakta aur na naqqaad ka yeh kaam hai ki ve adeeb ki aazaadi mein rukaawat daale.

Zabaan pahle paida hui aur rasm-e-khat baad mein. Main isse yeh nateeja nikaalta hoon ki zabaan aur rasm-e-khat mein koi baatini ta'alluq nahi hai, balki rasmi hai, aur agar yeh baat tasleem kar li jaye to zabaan aur rasm-e-khat ke muta'aliq jo bahas jaari hai woh mahdood ho sakti hai.

Mushaaira sadiyon se baaz mulkon ki adabi zindagi ka juz raha hai, jo eik khaas manzil par pahunch kar eik tahzeebi idaare ki shakl ikhtiyaar kar gaya.