Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tanveer Ahmad Alvi's Photo'

Tanveer Ahmad Alvi

1925 - 2013

Tanveer Ahmad Alvi

Ghazal 17

Sher-o-Shayari 7

lamha-dar-lamha guzartā chalā jaatā hai

vaqt ḳhushbū hai bikhartā chalā jaatā hai

lamha-dar-lamha guzarta hi chala jata hai

waqt KHushbu hai bikharta hi chala jata hai

  • Share this

mil bhī jaatā jo kahīñ āb-e-baqā kyā karte

zindagī ḳhud bhī thī jiine sazā kyā karte

mil bhi jata jo kahin aab-e-baqa kya karte

zindagi KHud bhi thi jine ki saza kya karte

palak jhapakne meñ kuchh ḳhvāb TuuT jaate haiñ

jo but-shikan hai vahī lamha but-tarāsh bhī thā

palak jhapakne mein kuchh KHwab TuT jate hain

jo but-shikan hai wahi lamha but-tarash bhi tha

terī yādoñ kahānī to nahīñ hai 'tanvīr'

dil pe dastak jo diyā kartā hai ḳhushbū tarah

teri yaadon ki kahani to nahin hai 'tanwir'

dil pe dastak jo diya karta hai KHushbu ki tarah

vo dā.eroñ se jo bāhar na aa sake 'tanvīr'

vo rasm-e-gardish-e-parkār toḌ maiñ ne

wo daeron se jo bahar na aa sake 'tanwir'

wo rasm-e-gardish-e-parkar toD di main ne

BOOKS 62

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now