aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Umar Farooq

Kanpur, India

Umar Farooq

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 6

uTThe jo tere dar se to duniyā simaT ga.ī

baiThe the tere dar pe zamāna liye hue

uTThe jo tere dar se to duniya simaT gai

baiThe the tere dar pe zamana liye hue

  • Share this

badan bojh uThānā bhī ab muhāl huā

jo ḳhud se haar ke baiThe to phir ye haal huā

badan ka bojh uThana bhi ab muhaal hua

jo KHud se haar ke baiThe to phir ye haal hua

  • Share this

mujhe ḳharīd rahe haiñ mire sabhī apne

maiñ bik to jā.ūñ magar sāmne to aa.e koī

mujhe KHarid rahe hain mere sabhi apne

main bik to jaun magar samne to aae koi

  • Share this

mire mālik mujhe is ḳhaak se be-ghar na karnā

mohabbat ke safar meñ chalte chalte thak gayā huuñ maiñ

mere malik mujhe is KHak se be-ghar na karna

mohabbat ke safar mein chalte chalte thak gaya hun main

  • Share this

hameñ to TuuTī huī kashtiyāñ nahīñ dikhtīñ

hamāre ghar se dariyā dikhā.ī detā hai

hamein to TuTi hui kashtiyan nahin dikhtin

hamare ghar se hi dariya dikhai deta hai

  • Share this

BOOKS 1

 

More Poets From "Kanpur"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now