Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zafar Tabish's Photo'

Zafar Tabish

1957 | Delhi, India

Sher of Zafar Tabish

manzar se lā-manzar tak

āñkheñ ḳhālī ḳhālī haiñ

manzar se la-manzar tak

aankhen KHali KHali hain

na kaho tum bhī kuchh na ham boleñ

aao ḳhāmoshiyoñ ke lab kholeñ

na kaho tum bhi kuchh na hum bolen

aao KHamoshiyon ke lab kholen

kyā jaane kyuuñ jaltī hai

sadiyoñ se bichārī dhuup

kya jaane kyun jalti hai

sadiyon se bichaari dhup

jab bhī jhuk kar miltā huuñ maiñ logoñ se

ho jaatā huuñ apne qad se ūñchā maiñ

jab bhi jhuk kar milta hun main logon se

ho jata hun apne qad se uncha main

so rahe the shahr bhī jañgal bhī jab

ro rahā thā niilā ambar TuuT kar

so rahe the shahr bhi jangal bhi jab

ro raha tha nila ambar TuT kar

bastī bastī jañgal jañgal ghūmā maiñ

lekin apne ghar meñ aa kar soyā maiñ

basti basti jangal jangal ghuma main

lekin apne ghar mein aa kar soya main

sirf zafar 'tābish' haiñ ham

'ġhālib' 'mīr' na 'hālī' haiñ

sirf zafar 'tabish' hain hum

'ghaalib' 'mir' na 'haali' hain

ba-zāhir yuuñ to maiñ simTā huā huuñ

agar socho to phir bikhrā huā huuñ

ba-zahir yun to main simTa hua hun

agar socho to phir bikhra hua hun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now