Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zakia Ghazal's Photo'

Zakia Ghazal

1963 | Karachi, Pakistan

Dohe of Zakia Ghazal

kab tak jaan bachā.e phuul pe os nanhā qatra

pattoñ bhī oT meñ ho to sūraj pal pal ḳhatra

kab tak jaan bachae phul pe os ka nanha qatra

patton ki bhi oT mein ho to suraj pal pal KHatra

pahle pahle pyaar sājan pahlī hai barsāt

oḌh ke leTī yaad tirī aur jaag ke kaaTī raat

pahle pahle pyar ki sajan pahli hai barsat

oDh ke leTi yaad teri aur jag ke kaTi raat

tum to shaan se nikle the le haath meñ merā haath

Dar kar duniyā vāloñ se kyuuñ chhoḌ diyā hai saath

tum to shan se nikle the le hath mein mera hath

Dar kar duniya walon se kyun chhoD diya hai sath

jaane kitne mausam biite tum na lauT ke aa.e

man dukhiyārā birah maarā kab tak aas lagā.e

jaane kitne mausam bite tum na lauT ke aae

man dukhiyara birah ka mara kab tak aas lagae

dam bhar meñ hue sūkhe patte kāñTe aur babūl

sājan jab tak aap yahāñ the khile rahe sab phuul

dam bhar mein hue sukhe patte kanTe aur babul

sajan jab tak aap yahan the khile rahe sab phul

nain jharoke jugnū mere taare paḌ ga.e maañd

jab sājan mukh dekhe merā bole puurā chāñd

nain jharoke jugnu mere tare paD gae mand

jab sajan mukh dekhe mera bole pura chand

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now