Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Powerful Quotes by Manto About the Lives of Sex Workers

Manto has repeatedly

uncovered those aspects of our society that are branded taboo. His works abound in bringing about the age-old bias against prostitution. Here are some of his most thought-provoking quotes about sex-workers and their profession.

7.4K
Favorite

SORT BY

Aap Shahar Mein Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Dekhte Hain... Ye Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Kooda-karkat Uthane Ke Kaam Nahi Aa Saktin. Gandagi Aur Ghalaazat Utha Kar Bahar Phenkne Ke Liye Aur Gadiyaan Maujood Hain Jinhein Aap Kam Dekhte Hain Aur Agar Dekhte Hain To Fauran Apni Naak Par Rumaal Rakh Lete Hain... In Gadiyon Ka Wujood Zaroori Hai Aur Un Aurton Ka Wujood Bhi Zaroori Hai Jo Ghalaazat Uthaati Hain. Agar Ye Aurtein Na Hotin To Hamaare Sab Gali-kooche Mardon Ki Ghaleez Harakaat Se Bhare Hote.

Saadat Hasan Manto

Vaisya Aur Ba-ismat Aurat Ka Muqaabla Hargiz-hargiz Nahi Karna Chahiye. In Dono Muqabla Ho Hi Nahi Sakta. Vaishya Khud Kamaati Hai Aur Ba-ismat Aurat Ke Paas Kamaa Kar Laane Waale Kaee Maujood Hote Hain.

Har Aurat Vaishya Nahi Hoti Lekin Har Vaishya Aurat Hoti Hai, Is Baat Ko Hamesha Yaad Rakhna Chaahiye.

Agar Hum Saabun Aur Lavender Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Mauryon Aur Badruon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jo Hamaare Badan Ka Mail Peeti Hain. Agar Hum Mandiron Aur Masjidon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Qahba-khaanon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Se Laut Kar Kaee Insaan Mandiron Aur Masjidon Ka Rukh Karte Hain... Hum Afyun, Charas, Bhang Aur Sharaab Ke Thekon Ka Zikr Kar Sakte Hain To Un Kothon Ka Zikr Kyun Nahi Kar Sakte Jahaan Har Qism Ka Nasha Istemaal Kiya Jaata Hai.

Jis Aurat Ke Darwaaze Shahar Ke Har Us Shaksh Ke Liye Khule Hain Jo Apni Jebon Mein Chaandi Ke Chand Sikke Rakhta Ho. Khwaah Woh Mochi Ho Ya Bhangi, Langda Ho Ya Loola, Khubsoorat Ho Ya Karihatul Manzar, Uski Zindagi Ka Andaaza Ba-khoobi Lagaya Ja Sakta Hai.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai, Ya Khud Banti Hai.

Vaishyaon Ke Ishq Mein Eik Khaas Baat Qaabil-e-zikr Hai. Unka Ishq Unke Roz-marra Ke Maamool Par Bahut Kam Asar Daalta Hai.

Vaishya Ka Wajood Khud Eik Janaaza HAi Jo Samaaj Khud Apne Kandhon Par Uthaae Hue Hai. Woh Use Jab Tak Kaheen Dafn Nahi Karega, Uske Mutalliq Baatein Hoti Rahengi.

Vaishya Apne Taareek Tijaarat Ke Baawajood Raushan Rooh Ki Maalik Ho Sakti Hai.

Gadaa-gari Qaanoonan Band Kar Di Jaati Hai, Magar Woh Asbaab-o-elal Door Karne Ki Koshish Nahi Ki Jati Jo Insaan Ko Is Fe'al Par Majboor Karte Hain. Aurton Ko Sar-e-baazaar Jism-faroshi Ke Kaarobaar Se Roka Jaata Hai Magar Uske Muharrekaat Ke Isteesaal Ki Taraf Koi Tawajjoh Nahi Deta.

Chakki Peesne Waali Aurat Jo Din Bhar Kaam Karti Hai Aur Raat Ko Itmeenaan Se So Jaati Hai, Mere Afsaanon Ki Heroin Nahi Ho Sakti. Meri Heroin Chakle Ki Eik Takhyaai Randi Ho Sakti Hai Jo Raat Ko Jaagti Hai Aur Din Ko Sote Mein Kabhi-kabhi Daraawna Khwaab Dekh Kar Uth Baithti Hai Ki Budhaapa Uske Darwaaze Par Dastak Dene Aa Raha Hai... Uske Bhaari-bhaari Papote Jin Par Barson Ki Uchti Hui Nindein Munjamid Ho Gayi Hain, Mere Afsaanon Ka Mauzoo Ban Sakte Hain. Uski Ghalaazat, Uski Bimaariyaan, Uska Chidchidaapan, Uski Gaaliyaan Yeh Sab Mujhe Bhaati Hain... Main Unke Mutalliq Likhta Hun Aur Ghareloo Aurton Ki Shusta Kalaamiyon, Unki Sehat Aur Unki Sehat Aur Unki Nafaasat-pasandi Ko Nazar-andaaz Kar Jaata Hoon.

Baghaavat-e-France Mein Pahli Goli Paris Ki Eik Vaishya Ne Apne Seene Par Khaai Thi. Amritsar Mein Jaliyaanwaala Baagh Ke Khooni Haadse Ki Ibtida Us Naujawaan Ke Khoon Se Hui Thi Jo Eik Vaishya Ke Batn Se Tha.

Vaishya Sirf Usi Mard Par Apne Dil Ke Tamaam Darwaaze Kholegi, Jisse Use Mohabbat Ho. Har Aane Jaane Wale Mard Ke Liye Woh Aisa Nahi Kar Sakti.

Ismat-farosh Aurat Eik Zamaane Se Duniya Ki Sabse Zaleel Hasti Samjhi Jati Hai. Magar Kya Humne Ghaur Kiya Hai Ki Hum Mein Se Aksar Aisi Zaleel-o-khwaar Hastiyon Ke Dar Par Thokarein Khaate Hain, Kya Hamaare Dil Mein Ye Khayaal Paida Nahi Hota Ki Hum Bhi Zaleel Hain?

Vaishya Ko Sirf Baahar Se Dekha Jaata Hai. Iske Rang-Roop, Uski Bhadkeeli Poshaak, Aaraaish-o-zebaaish Dekh Kar Yahi Nateeja Nikaala Jaata Hai Ki Woh Khushhaal Hai. Lekin Ye Durust Nahi.

Jis Tarah Ba-ismat Aurtein Vaishyaon Ki Taraf Hairat Aur Tajjub Se Dekhti Hain, Theek Usi Tarah Woh Bhi Unki Taraf Usi Nazar Se Dekhti Hain.

Eik Ba-ismat Aurat Ke Seene Mein Mohabbat Se Aari Dil Ho Sakta Hai Aur Iske Bar-aks Chakle Ki Eik Adna-tareen Vaishya Mohabbat Se Bharpoor Dil Ki Maalik Ho Sakti Hai.

Jis Tarah Ghar Ke Naukar Jhatpat Apne Aaqaon Ke Bistar Laga Kar Apne Aaraam Ka Khayaal Karte Hain. Theek Usi Tarah Vaishya Bhi Apne Graahankon Ko Nimta Kar Apni Khushi Aur Raahat Ki Taraf Palat Aati Hai.

Bazari Aurtein Samaaj Ki Paidaawaar Hain Aur Samaaj Ke Waza-karda Qawaaneen Ki Khaad Unki Parwarish Karti Hai. Agar Unko Achcha Banana Darkaar Hai To Saare Jism Ke Nizaam Ko Durust Karne Ki Zaroorat Hai. Jab Tak Samaaj Apne Qawaaneen Par Az Sar-e-nau Ghaur Na Karega, Woh Najaasat Door Na Hogi Jo Tahzeeb-o-tamaddun Ke Har Shahr Aur Har Basti Ke Andar Maujood Hai?

Taajjub To Is Baat Ka Hai Ki Jab Sadiyon Se Hum Ye Sun Rahe Hain Ki Vaishya Ka Dasa Hua Paani Nahi Mangta To Hum Kyun Apne Aapko Isse Daswaate Hain Aur Phir Kyun Khud Hi Rona Peetna Shuroo Kar Dete Hain. Vaishya Iraadatan Ya Kisi Intiqaami Jazbe Ke Zer-e-asar Mardon Ke Maal-o-zar Par Haath Nahi Ḍaalti. Woh Sauda Karti Hai Aur Kamaati Hai.

Vaishya Ya Tawaaef Apne Tijaarato Usoolon Ke Ma-tahat Har Mard Se Jo Uske Paas Gaahak Ke Taur Par Aata Hai, Ziyaada Se Ziyaada Nafaa Haasil Karne Ki Koshish Karegi. Agar Wo Munaasib Daamon Par Ya Hairat-Angez Qeemat Par Apna Maal Bechti Hai To Ye Uska Pesha Hai. Baniya Bhi To Sauda Tolte Waqt Dandi Maar Jaata Hai. Baaz Dukaanein Ziyaada Qeemat Par Apna Maal Bechti Hain Baaz Kam Qeemat Par.

Vaishya Iraadatan Ya Kisi Intiqaami Jazbe Ke Zer-e-asar Mardon Ke Maal-o-zar Par Haath Nahi Ḍaalti. Woh Sauda Karti Hai Aur Kamaati Hai.

Besavaaen Ab Se Nahi Hazaaraha Saal Se Hamaare Darmiyaan Maujood Hain. Unka Tazkira Ilhaami Kitaabon Mein Bhi Maujood Hai. Ab Chunki Kisi Ilhaami Kitaab Ya Kisi Paighambar Ki Gunjaish Nahi Rahi, Isliye Maujooda Zamaane Mein Unka Zikr Aap Aayaat Mein Nahi Balki Un Akhbaaron, Kitaabon Ya Risaalon Mein Dekhte Hain Jinhein Aap Ood Aur Lobaan Jalaaye Baghair Padh Sakte Hain Aur Paḍhne Ke Baad Raddi Mein Bhi Uṭhwa Sakte Hain.

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now