Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Kaif Ahmed Siddiqui

1943 - 1986 | Sitapur, India

Sher of Kaif Ahmed Siddiqui

4.7K
Favorite

SORT BY

mahsūs ho rahā hai ki maiñ ḳhud safar meñ huuñ

jis din se rail par maiñ tujhe chhoḌne gayā

mahsus ho raha hai ki main KHud safar mein hun

jis din se rail par main tujhe chhoDne gaya

ḳhushī aarzū kyā dil meñ Thahre

tire ġham ne biThā rakkhe haiñ pahre

KHushi ki aarzu kya dil mein Thahre

tere gham ne biTha rakkhe hain pahre

ik baras bhī abhī nahīñ guzrā

kitnī jaldī badal ga.e chehre

ek baras bhi abhi nahin guzra

kitni jaldi badal gae chehre

aaj kuchh aise sho.ale bhaḌke bārish ke har qatre se

dhuup panāheñ maañg rahī hai bhīge hue daraḳhtoñ meñ

aaj kuchh aise shoale bhaDke barish ke har qatre se

dhup panahen mang rahi hai bhige hue daraKHton mein

sard jazbe bujhe bujhe chehre

jism zinda haiñ mar ga.e chehre

sard jazbe bujhe bujhe chehre

jism zinda hain mar gae chehre

ham aaj kuchh hasīn sarāboñ meñ kho ga.e

āñkheñ khulīñ to jāgte ḳhvāboñ meñ kho ga.e

hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae

aankhen khulin to jagte KHwabon mein kho gae

tanhā.ī dulhan apnī maañg sajā.e baiThī hai

vīrānī ābād huī hai ujḌe hue daraḳhtoñ meñ

tanhai ki dulhan apni mang sajae baiThi hai

virani aabaad hui hai ujDe hue daraKHton mein

tanhā.iyoñ ko sauñp ke tārīkiyoñ zahr

rātoñ ko bhaag aa.e ham apne makān se

tanhaiyon ko saunp ke tarikiyon ka zahr

raaton ko bhag aae hum apne makan se

aaj phir shāḳh se gire patte

aur miTTī meñ mil ga.e patte

aaj phir shaKH se gire patte

aur miTTi mein mil gae patte

'kaif' kahāñ tak tum ḳhud ko be-dāġh rakhkhoge

ab to saarī duniyā ke muñh par syāhī hai

'kaif' kahan tak tum KHud ko be-dagh rakhkhoge

ab to sari duniya ke munh par syahi hai

ḳhudā ma.alūm kis āvāz ke pyāse parinde

vo dekho ḳhāmushī jhiil meñ utre parinde

KHuda malum kis aawaz ke pyase parinde

wo dekho KHamushi ki jhil mein utre parinde

'kaif' yuuñ āġhosh-e-fan meñ zehn ko niiñd aa ga.ī

jaise maañ god meñ bachcha sisak kar so gayā

'kaif' yun aaghosh-e-fan mein zehn ko nind aa gai

jaise man ki god mein bachcha sisak kar so gaya

vo ḳhud apnī aag meñ jal kar fanā huā

jis saa.e talāsh meñ ye āftāb hai

wo KHud hi apni aag mein jal kar fana hua

jis sae ki talash mein ye aaftab hai

chaman meñ shiddat-e-dard-e-numūd se ġhunche

taḌap rahe haiñ magar muskurā.e jaate haiñ

chaman mein shiddat-e-dard-e-numud se ghunche

taDap rahe hain magar muskurae jate hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now