Sher of Saghar Khayyami
muddat huī hai bichhḌe hue apne-āp se
dekhā jo aaj tum ko to ham yaad aa ga.e
muddat hui hai bichhDe hue apne-ap se
dekha jo aaj tum ko to hum yaad aa gae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaan jaane ko hai aur raqs meñ parvāna hai
kitnā rañgīn mohabbat tirā afsāna hai
jaan jaane ko hai aur raqs mein parwana hai
kitna rangin mohabbat tera afsana hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aam terī ye ḳhush-nasībī hai
varna langḌoñ pe kaun martā hai
aam teri ye KHush-nasibi hai
warna langDon pe kaun marta hai
kitne chehre lage haiñ chehroñ par
kyā haqīqat hai aur siyāsat kyā
kitne chehre lage hain chehron par
kya haqiqat hai aur siyasat kya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us vaqt mujh ko dāvat-e-jām-o-subū milī
jis vaqt maiñ gunāh ke qābil nahīñ rahā
us waqt mujh ko dawat-e-jam-o-subu mili
jis waqt main gunah ke qabil nahin raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaun kahtā hai bulandī pe nahīñ huuñ 'sāġhar'
merī me'rāj-e-mohabbat mirī rusvā.ī hai
kaun kahta hai bulandi pe nahin hun 'saghar'
meri me'raj-e-mohabbat meri ruswai hai
aa.ī sadā-e-haq ki yahī band-o-bast haiñ
tere vatan ke log to murda-parast haiñ
aai sada-e-haq ki yahi band-o-bast hain
tere watan ke log to murda-parast hain
kahte the match dekhne vaale pukār ke
ustād jā rahe haiñ shab-e-ġham guzār ke
kahte the match dekhne wale pukar ke
ustad ja rahe hain shab-e-gham guzar ke
dekhe jo qais husn to lailā ko bhuul jaa.e
ham kyā haiñ rīsh-e-hazrat-maulānā jhuul jaa.e
dekhe jo qais husn to laila ko bhul jae
hum kya hain rish-e-hazrat-maulana jhul jae
mehñdī lage vo haath vo miinā sī uñgliyāñ
ham ko tabāh kar ga.iiñ dillī kī laḌkiyāñ
mehndi lage wo hath wo mina si ungliyan
hum ko tabah kar gain dilli ki laDkiyan
ishāra ho to maiñ ruḳh moḌ duuñ zamāne kā
banā duuñ tum ko manager yatīm-ḳhāne kā
ishaara ho to main ruKH moD dun zamane ka
bana dun tum ko manager yatim-KHane ka
aa.ī āvāz-e-ḳhudāvand diye dete haiñ
dāḳhila terā J.N.U meñ kiye dete haiñ
aai aawaz-e-KHudawand diye dete hain
daKHila tera JNU mein kiye dete hain