Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishrati ghar ki mohabbat ka maza bhul gae

Akbar Allahabadi

ishrati ghar ki mohabbat ka maza bhul gae

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    Interesting Fact

    Akbar Ilahabadi willy-nilly sent his son Ishrat Hussain to Europe for studies by making him take vows and oaths of all sorts. In those days every Indian guy who went to Europe was suspected of being spoiled in the 'Ultra-Mod' European ambience and given that Isharat studied in Europe for a long time, Akbar was always worried about his son. Once Ishrat's letter took unusually long in reaching his father, as a result of which, Akbar, in anxiety and uneasiness sent across this couplet.

    'ishratī' ghar mohabbat mazā bhuul ga.e

    khā ke london havā ahd-e-vafā bhuul ga.e

    pahuñche hotel meñ to phir iid parvā na rahī

    cake ko chakh ke seva.iyoñ mazā bhuul ga.e

    bhūle maañ baap ko aġhyār ke charnoñ meñ vahāñ

    sāya-e-kufr paḌā nūr-e-ḳhudā bhuul ga.e

    mom putliyoñ par aisī tabī.at pighlī

    chaman-e-hind pariyoñ adā bhuul ga.e

    kaise kaise dil nāzuk ko dukhāyā tum ne

    ḳhabar-e-faisla-e-roz-e-jazā bhuul ga.e

    buḳhl hai ahl-e-vatan se jo vafā meñ tum ko

    kyā buzurgoñ vo sab jūd-o-atā bhuul ga.e

    naql maġhrib tarañg aa.ī tumhāre dil meñ

    aur ye nukta ki mirī asl hai kyā bhuul ga.e

    kyā ta.ajjub hai jo laḌkoñ ne bhulāyā ghar ko

    jab ki būḌhe ravish-e-dīn-e-ḳhudā bhuul ga.e

    'ishrati' ghar ki mohabbat ka maza bhul gae

    kha ke london ki hawa ahd-e-wafa bhul gae

    pahunche hotel mein to phir id ki parwa na rahi

    cake ko chakh ke sewaiyon ka maza bhul gae

    bhule man bap ko aghyar ke charnon mein wahan

    saya-e-kufr paDa nur-e-KHuda bhul gae

    mom ki putliyon par aisi tabiat pighli

    chaman-e-hind ki pariyon ki ada bhul gae

    kaise kaise dil nazuk ko dukhaya tum ne

    KHabar-e-faisla-e-roz-e-jaza bhul gae

    buKHl hai ahl-e-watan se jo wafa mein tum ko

    kya buzurgon ki wo sab jud-o-ata bhul gae

    naql maghrib ki tarang aai tumhaare dil mein

    aur ye nukta ki meri asl hai kya bhul gae

    kya tajjub hai jo laDkon ne bhulaya ghar ko

    jab ki buDhe rawish-e-din-e-KHuda bhul gae

    Source:

    kulliyaat-e-akbar (Pg. 213)

      • Publisher: farid book dipot
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now