Bidesi Zabaan Yaani Ghulaami
Insaan jaanwaron ko to lagaam laga kar apna taabe'daar banaate hain lekin jab eik insaani qaum doosri insaani qaum ko apna taabe'daar banaati hai, to go uske munh mein lohe ki lagaam nahi lagaati taahum uske munh mein eik lagaam laga deti hai jiska naam bidesi zabaan hai. Insaan ke tamaam aamaal uske khayaalaat ke maa-tahat hain, khayaalaat ki rooh alfaaz ke jism mein jalwaa-gar hoti hai. Alfaaz zabaan ka doosra naam hai, isliye kisi doosri qaum ki zabaan ke ma'aani us qaum ka tamaddun tareekh, mazhab, jazbaat har cheez hain.

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.