Sabse Badi Uftaad
hum ne tajrubaat aur waardaat ko yaad rakkha tha aur unhein alaamaton aur isti‘aaron mein mahfooz kar liya tha. phir ye kya uftaad (museebat) padi ki ghazal se Qais-o-Farhaad hijrat kar gaye aur Koh-e-toor par aisi bijli giri ki ghazal mein ab uska nishaan nahi milta. Qais-o-Farhaad ke isti‘aaron ke mar jaane ke maa‘ni ye hain ki eik buniyaadi insaani jazba hamaare mu‘aashre mein eik paihaam tahzeebi asr ke ma-tahat jis saanche mein dhal gaya tha wo saancha bikhar gaya hai. jab aisa saancha bikharta hai to akhbaaron mein aghwa aur qat‘l ki khabron aur risaalon mein rumaani nazmon aur afsaanon ki bohtaat ho jaati hai. rumaani shaa'iri aur rumaani afsaana jazbaat ke aghwa aur qat‘l ki waardaat hain.

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.