aab-o-hawa-e-dasht ne mujhko talab kiya
āb-o-havā-e-dasht ne mujh ko talab kiyā
majnūñ ne merā haal batā kar ġhazab kiyā
mahfil meñ qissa-go ke 'alāva koī na thā
āġhāz us ne merī kahānī kā jab kiyā
is zindagī ke ham se taqāze 'ajīb the
jo kuchh hamāre bas meñ nahīñ thā vo sab kiyā
bekār hī chalā hai tū asbāb DhūñDhne
maiñ ne to jo bhī kaam kiyā be-sabab kiyā
'kāshif-husain' yaar makīnoñ ke saath saath
maiñ ne to bām-o-dar kā bhī dil se adab kiyā
aab-o-hawa-e-dasht ne mujh ko talab kiya
majnun ne mera haal bata kar ghazab kiya
mahfil mein qissa-go ke 'alawa koi na tha
aaghaz us ne meri kahani ka jab kiya
is zindagi ke hum se taqaze 'ajib the
jo kuchh hamare bas mein nahin tha wo sab kiya
bekar hi chala hai tu asbab DhunDhne
main ne to jo bhi kaam kiya be-sabab kiya
'kashif-husain' yar makinon ke sath sath
main ne to baam-o-dar ka bhi dil se adab kiya
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 76)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.