aadab-e-junun mange aain-e-wafa mange
ādāb-e-junūñ māñge ā.īn-e-vafā māñge
kyā dil hai ki ik duniyā duniyā se judā māñge
be dast-e-junūñ shāyad miltī nahīñ rā'nā.ī
phūloñ ne bhī kāñToñ se kuchh ābla-pā māñge
hai raat kā āñchal bhī phūloñ meñ basā lekin
rūThī huī niiñd apnī dāman kī havā māñge
jis daur kā manshā ho pyāsoñ ko na mai denā
phir tishna-labī merī us daur se kyā māñge
duniyā ke ujāloñ ne luuTā hai 'shamīm' aisā
dil bazm-e-charāġhāñ meñ āñdhī kī du'ā māñge
aadab-e-junun mange aain-e-wafa mange
kya dil hai ki ek duniya duniya se juda mange
be dast-e-junun shayad milti nahin ra'nai
phulon ne bhi kanTon se kuchh aabla-pa mange
hai raat ka aanchal bhi phulon mein basa lekin
ruThi hui nind apni daman ki hawa mange
jis daur ka mansha ho pyason ko na mai dena
phir tishna-labi meri us daur se kya mange
duniya ke ujalon ne luTa hai 'shamim' aisa
dil bazm-e-charaghan mein aandhi ki du'a mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.