aadmi ba-wafa banate hue
aadmī bā-vafā banāte hue
kyā banāyā hai kyā banāte hue
us ne āġhāz kyā kiyā hogā
vaqt kī ibtidā banāte hue
kis tarah darmiyāñ banā hogā
ibtidā intihā banāte hue
guuñj paidā bahut huī hogī
ḳhāmushī meñ sadā banāte hue
the kahāñ āsmān aur zamīn
darmiyānī ḳhalā banāte hue
kyā kiyā hogā itnī miTTī kā
us ne āb-o-havā banāte hue
kis tarah kā tirā taḳhayyul thā
mujh ko mere binā banāte hue
kyā savāb-o-gunah the pesh-e-nazar
mujh ko achchhā burā banāte hue
der us ko zarā nahīñ lagtī
koī shai der-pā banāte hue
maiñ banāne lagā tirī tasvīr
daf'atan ruk gayā banāte hue
ḳhud-ba-ḳhud 'ishq ho gayā taḳhlīq
dil banā dil-rubā banāte hue
rang kyoñ zard kar liyā shāmil
ek pattā harā banāte hue
diqqateñ to uThānī paḌtī haiñ
ek rasta nayā banāte hue
kitne sāñpoñ kī parvarish kī hai
ham ne 'āsim' 'asā banāte hue
aadmi ba-wafa banate hue
kya banaya hai kya banate hue
us ne aaghaz kya kiya hoga
waqt ki ibtida banate hue
kis tarah darmiyan bana hoga
ibtida intiha banate hue
gunj paida bahut hui hogi
KHamushi mein sada banate hue
the kahan aasman aur zamin
darmiyani KHala banate hue
kya kiya hoga itni miTTi ka
us ne aab-o-hawa banate hue
kis tarah ka tera taKHayyul tha
mujh ko mere bina banate hue
kya sawab-o-gunah the pesh-e-nazar
mujh ko achchha bura banate hue
der us ko zara nahin lagti
koi shai der-pa banate hue
main banane laga teri taswir
daf'atan ruk gaya banate hue
KHud-ba-KHud 'ishq ho gaya taKHliq
dil bana dil-ruba banate hue
rang kyon zard kar liya shamil
ek patta hara banate hue
diqqaten to uThani paDti hain
ek rasta naya banate hue
kitne sanpon ki parwarish ki hai
hum ne 'asim' 'asa banate hue
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 94)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.