aae the jagte hue KHwabon mein kho gae
aa.e the jāgte hue ḳhvāboñ meñ kho ga.e
ye apne rāhbar bhī sarāboñ meñ kho ga.e
merī nigāh-e-shauq kā me'yār tum hī the
tum ne ye kyā kiyā ki hijāboñ meñ kho ga.e
jazboñ ko paḌhne vaale to insān tak ga.e
alfāz paḌhne vaale kitāboñ meñ kho ga.e
tūfāñ ko sahne vaale yahāñ surḳh-rū hue
jo kashmakash se haare ḳharāboñ meñ kho ga.e
kyā ḳhuub apnā farz nibhāyā janāb-e-man
'maḳhmūr' ho ke aap sharāboñ meñ kho ga.e
aae the jagte hue KHwabon mein kho gae
ye apne rahbar bhi sarabon mein kho gae
meri nigah-e-shauq ka me'yar tum hi the
tum ne ye kya kiya ki hijabon mein kho gae
jazbon ko paDhne wale to insan tak gae
alfaz paDhne wale kitabon mein kho gae
tufan ko sahne wale yahan surKH-ru hue
jo kashmakash se haare KHarabon mein kho gae
kya KHub apna farz nibhaya janab-e-man
'maKHmur' ho ke aap sharabon mein kho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.