aaenge baal-o-par bhi nazar raushni na kar
ā.eñge bāl-o-par bhī nazar raushnī na kar
chhū le badan tū chāhe magar raushnī na kar
sahmī huī hai rāhguzar raushnī na kar
suune paḌe haiñ ghar ke ye dar raushnī na kar
ab tak to kaaT lī hai añdheroñ meñ ye hayāt
baaqī bhī jā.egī ye guzar raushnī na kar
hai raushnī kī jin ko talab un ko baḳhsh de
rahne de tīrgī hī idhar raushnī na kar
gar raushnī huī to vo ho jā.egī pare
ab raushnī se lagtā hai Dar raushnī na kar
talvāreñ tan paḌeñgī huī raushnī agar
'yāvar' gireñge jism se sar raushnī na kar
aaenge baal-o-par bhi nazar raushni na kar
chhu le badan tu chahe magar raushni na kar
sahmi hui hai rahguzar raushni na kar
sune paDe hain ghar ke ye dar raushni na kar
ab tak to kaT li hai andheron mein ye hayat
baqi bhi jaegi ye guzar raushni na kar
hai raushni ki jin ko talab un ko baKHsh de
rahne de tirgi hi idhar raushni na kar
gar raushni hui to wo ho jaegi pare
ab raushni se lagta hai Dar raushni na kar
talwaren tan paDengi hui raushni agar
'yawar' girenge jism se sar raushni na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.