Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aage jo hoga wo hoga KHair kar aaya hun main

Ejazulhaq Shahab

aage jo hoga wo hoga KHair kar aaya hun main

Ejazulhaq Shahab

MORE BYEjazulhaq Shahab

    aage jo hogā vo hogā ḳhair kar aayā huuñ maiñ

    jo zabar bante the un ko zer kar aayā huuñ maiñ

    haañ bahut mushkil to hai lekin ye nā-mumkin nahīñ

    dard tuġhyāniyoñ meñ tair kar aayā huuñ maiñ

    mar gayā hai koī mujh meñ us pe miTTī Dāliye

    apnī saarī ḳhvāhishoñ ko Dher kar aayā huuñ maiñ

    dard vahshat ranj-o-ġham tanhā.iyāñ shām-e-alam

    jo mujhe ghere thiiñ un ko gher kar aayā huuñ maiñ

    vo jise paane hasrat dil meñ muddat se rahī

    us ke ḳhātir use ab ġhair kar aayā huuñ maiñ

    kaam ye āsāñ nahīñ is meñ kaleja chāhiye

    ishq vaadī se haañ ruḳh pher kar aayā huuñ maiñ

    jaane kis diid hasrat liye dil meñ 'shahāb'

    dasht-o-sahrā se bhī aage sair kar aayā huuñ maiñ

    aage jo hoga wo hoga KHair kar aaya hun main

    jo zabar bante the un ko zer kar aaya hun main

    han bahut mushkil to hai lekin ye na-mumkin nahin

    dard ki tughyaniyon mein tair kar aaya hun main

    mar gaya hai koi mujh mein us pe miTTi Daliye

    apni sari KHwahishon ko Dher kar aaya hun main

    dard wahshat ranj-o-gham tanhaiyan sham-e-alam

    jo mujhe ghere thin un ko gher kar aaya hun main

    wo jise pane ki hasrat dil mein muddat se rahi

    us ke hi KHatir use ab ghair kar aaya hun main

    kaam ye aasan nahin is mein kaleja chahiye

    ishq ki wadi se han ruKH pher kar aaya hun main

    jaane kis ki did ki hasrat liye dil mein 'shahab'

    dasht-o-sahra se bhi aage sair kar aaya hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now