aahaT si kanon mein gunje aur kahin kho jae
aahaT sī kānoñ meñ gūñje aur kahīñ kho jaa.e
āḌī-tirchhī pagDanDī par āvāzoñ ke saa.e
aane vaale din kā sūraj apnī or bulā.e
biite din ke hangāmoñ par aañsū kaun bahā.e
shāyad os meñ bhīgī saḌkeñ apnī āñkheñ kholeñ
shāyad darvāzoñ ke lab par giit koī lahrā.e
shahr kī ujlī dīvāroñ kā chehra ham bhī dekheñ
mausam kī pahlī bārish se gard agar chhaT jaa.e
zahr kī jhīloñ par chamkī hai sachchā.ī kī dhuup
tiira 'aqā.ed kī qabroñ par sham'eñ kaun jalā.e
aahaT si kanon mein gunje aur kahin kho jae
aaDi-tirchhi pagDanDi par aawazon ke sae
aane wale din ka suraj apni or bulae
bite din ke hangamon par aansu kaun bahae
shayad os mein bhigi saDken apni aankhen kholen
shayad darwazon ke lab par git koi lahrae
shahr ki ujli diwaron ka chehra hum bhi dekhen
mausam ki pahli barish se gard agar chhaT jae
zahr ki jhilon par chamki hai sachchai ki dhup
tera 'aqaed ki qabron par sham'en kaun jalae
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 78)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.