aaj aankhon mein jo KHumari hai
aaj āñkhoñ meñ jo ḳhumārī hai
un ke ḳhvāboñ meñ shab guzārī hai
kaun laayā hai hosh meñ mujh ko
kis nazar ne nazar utārī hai
hijr dekhā hai vasl dekhā hai
donoñ jānib hī be-qarārī hai
phir kitāboñ ke phuul mahke haiñ
phir tirī yaad dil pe taarī hai
dil ke TukḌe hue haiñ siine meñ
jān-e-jāñ choT ye karārī hai
jis ko jān-e-ġhazal batāte ho
vo ġhazal to miyāñ hamārī hai
ham ne kaaTī hai 'umr un ke baġhair
kaun kahtā hai ki guzārī hai
ham vafādār-e-mulk haiñ 'ġhāfil'
bas yahī dāstāñ hamārī hai
aaj aankhon mein jo KHumari hai
un ke KHwabon mein shab guzari hai
kaun laya hai hosh mein mujh ko
kis nazar ne nazar utari hai
hijr dekha hai wasl dekha hai
donon jaanib hi be-qarari hai
phir kitabon ke phul mahke hain
phir teri yaad dil pe tari hai
dil ke TukDe hue hain sine mein
jaan-e-jaan choT ye karari hai
jis ko jaan-e-ghazal batate ho
wo ghazal to miyan hamari hai
hum ne kaTi hai 'umr un ke baghair
kaun kahta hai ki guzari hai
hum wafadar-e-mulk hain 'ghafil'
bas yahi dastan hamari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.