Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal

Ejazulhaq Shahab

aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal

Ejazulhaq Shahab

MORE BYEjazulhaq Shahab

    aaj sun hai mire ahbāb ne merī ġhazal

    aaj apnī manzil-e-maqsūd par pahuñchī ġhazal

    jab sunā.ī aap ne to bā-adab sun ġhazal

    aur jab koshāñ huā to be-dhaḌak kah ġhazal

    ye lab-o-ruḳhsār ye chehrā terā pur-nūr

    tujh ko kyā dekhā lagā jaise koī dekhī ġhazal

    kal jo dekhī thī ġhazal to dil dhaḌkan ruk ga.ī

    aaj jo dekhī ġhazal to ban ke dil dhaḌkī ġhazal

    zulf uulā chashm saanī qāfiya ruḳh lab radīf

    rab ne tum ko hai tarāshā koī likkhī ġhazal

    qāfiya rūThā huā thā muñh chiḌātī thī radīf

    tum kyā rūThe raat bhar thī raat bhar rūThī ġhazal

    tahat meñ jab bhī paḌhī to ban ke niklī inqalāb

    jab tarannum meñ paḌhī to jhuum uThī merī ġhazal

    haiñ ye asnāf-e-adab jān-e-suḳhan-dāñ shā'irī

    nazm merī saañs hai aur zindagī merī ġhazal

    kah uThe haiñ sab suḳhanvar ahl-e-mahfil ye 'shahāb'

    jo tere lab se huī āḳhir vahī Thahrī ġhazal

    aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal

    aaj apni manzil-e-maqsud par pahunchi ghazal

    jab sunai aap ne to ba-adab sun li ghazal

    aur jab koshan hua to be-dhaDak kah di ghazal

    ye lab-o-ruKHsar ye chehra tera pur-nur sa

    tujh ko kya dekha laga jaise koi dekhi ghazal

    kal jo dekhi thi ghazal to dil ki dhaDkan ruk gai

    aaj jo dekhi ghazal to ban ke dil dhaDki ghazal

    zulf ula chashm sani qafiya ruKH lab radif

    rab ne tum ko hai tarasha ya koi likkhi ghazal

    qafiya ruTha hua tha munh chiDati thi radif

    tum kya ruThe raat bhar thi raat bhar ruThi ghazal

    tahat mein jab bhi paDhi to ban ke nikli inqalab

    jab tarannum mein paDhi to jhum uThi meri ghazal

    hain ye asnaf-e-adab jaan-e-suKHan-dan sha'iri

    nazm meri sans hai aur zindagi meri ghazal

    kah uThe hain sab suKHanwar ahl-e-mahfil ye 'shahab'

    jo tere lab se hui aaKHir wahi Thahri ghazal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now