Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj tabir KHwabon ki hum pa gae

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

aaj tabir KHwabon ki hum pa gae

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    aaj ta.abīr ḳhvāboñ ham ga.e

    lo jinheñ chāhte the vo ḳhud aa ga.e

    jab ishāra nazar tirī ga.e

    be-muhābā zamāne se Takrā ga.e

    kis ḳhushī se uThāyā hai har ek ġham

    dost jab se tirī ham razā ga.e

    ab to jalve jalve nigāhoñ meñ haiñ

    tum tasavvur duniyā pe yuuñ chhā ga.e

    ḳhud zamāna bhī ab mehrbāñ ho gayā

    ham ġham-e-dost jab se tujhe ga.e

    aa rahā thā jafāoñ meñ mujh ko mazā

    jaane kyā soch kar ab vo baaz aa ga.e

    phuul murjhā ga.e aur gire shāḳh se

    ek pal hañsī sazā ga.e

    kyoñ fareb-e-vafā bhī na rahne diyā

    ye sahārā bhī jiine tum Dhā ga.e

    e'tibār un ke va.adoñ kab thā hameñ

    ham ḳhushī se ye dhoke magar khā ga.e

    vo jo khelā kiye mere dil shikār

    aaj vo apne daam meñ aa ga.e

    dil barbādiyoñ gila jin se thā

    aaj phir un bātoñ meñ ham aa ga.e

    ek 'habīb' us se pahle the ham ajnabī

    dard de kar mujhe aap apnā ga.e

    aaj tabir KHwabon ki hum pa gae

    lo jinhen chahte the wo KHud aa gae

    jab ishaara nazar ka teri pa gae

    be-muhaba zamane se Takra gae

    kis KHushi se uThaya hai har ek gham

    dost jab se teri hum raza pa gae

    ab to jalwe hi jalwe nigahon mein hain

    tum tasawwur ki duniya pe yun chha gae

    KHud zamana bhi ab mehrban ho gaya

    hum gham-e-dost jab se tujhe pa gae

    aa raha tha jafaon mein mujh ko maza

    jaane kya soch kar ab wo baz aa gae

    phul murjha gae aur gire shaKH se

    ek pal ki hansi ki saza pa gae

    kyon fareb-e-wafa bhi na rahne diya

    ye sahaara bhi jine ka tum Dha gae

    e'tibar un ke wadon ka kab tha hamein

    hum KHushi se ye dhoke magar kha gae

    wo jo khela kiye mere dil ka shikar

    aaj wo apne hi dam mein aa gae

    dil ki barbaadiyon ka gila jin se tha

    aaj phir un ki baaton mein hum aa gae

    ek 'habib' us se pahle the hum ajnabi

    dard de kar mujhe aap apna gae

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 84)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now