aaKHiri did ka imkan nahin hota tha
āḳhirī diid kā imkān nahīñ hotā thā
jab vo ik aadmī anjān nahīñ hotā thā
hone lagtā to ḳhudā hotā chalā jaatā thā
jab koī 'ishq meñ insān nahīñ hotā thā
tujh se pahle bhī mirī nazm huā kartī thī
haañ ye hotā thā ki haijān nahīñ hotā thā
‘sayyad-afzāl’ ne aa kar ise masnad baḳhshī
nazm kā pahle to qur.ān nahīñ hotā thā
āḳhirī baar mile us se ki is se pahle
shukriya hotā thā ehsān nahīñ hotā thā
saarā din dastakeñ ginte the magar jānte the
aane vaalā koī mehmān nahīñ hotā thā
aaKHiri did ka imkan nahin hota tha
jab wo ek aadmi anjaan nahin hota tha
hone lagta to KHuda hota chala jata tha
jab koi 'ishq mein insan nahin hota tha
tujh se pahle bhi meri nazm hua karti thi
han ye hota tha ki haijaan nahin hota tha
‘sayyad-afzal’ ne aa kar ise masnad baKHshi
nazm ka pahle to quran nahin hota tha
aaKHiri bar mile us se ki is se pahle
shukriya hota tha ehsan nahin hota tha
sara din dastaken ginte the magar jaante the
aane wala koi mehman nahin hota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.