aangan mein wo baiThi hogi
āñgan meñ vo baiThī hogī
dhuup se bāteñ kartī hogī
us kī tanhā.ī kī sūrat
merī ġhazal se miltī hogī
maiñ ne dekhā us kā chehra
us ne duniyā dekhī hogī
aatī jaatī lahr nadī kī
sāhil se kuchh kahtī hogī
ham bhī khile khile se hoñge
rut bhī mahkī mahkī hogī
jis ko chhoḌe barsoñ guzre
vo duniyā ab kaisī hogī
aangan mein wo baiThi hogi
dhup se baaten karti hogi
us ki tanhai ki surat
meri ghazal se milti hogi
main ne dekha us ka chehra
us ne duniya dekhi hogi
aati jati lahr nadi ki
sahil se kuchh kahti hogi
hum bhi khile khile se honge
rut bhi mahki mahki hogi
jis ko chhoDe barson guzre
wo duniya ab kaisi hogi
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 67)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.