aankh mein be-KHwab ninden bhar gaya
aañkh meñ be-ḳhvāb nīñdeñ bhar gayā
jaane vaalā mujh ko ḳhālī kar gayā
kuchh to ye duniyā badalne se rahī
aur kuchh merā junūñ bhī mar gayā
muḌ ke dekhā kuchh na thā dīvār par
ek lamhe ko maiñ jaise Dar gayā
ye havā ko bhī kahāñ mā'lūm hai
kaun is chaukhaT pe patte dhar gayā
saarī tasvīreñ na.ī shakloñ meñ thiiñ
baa'd muddat jab vo apne ghar gayā
ik parinda lauT aayā shāḳh par
chahchahoñ se merā āñgan bhar gayā
aankh mein be-KHwab ninden bhar gaya
jaane wala mujh ko KHali kar gaya
kuchh to ye duniya badalne se rahi
aur kuchh mera junun bhi mar gaya
muD ke dekha kuchh na tha diwar par
ek lamhe ko main jaise Dar gaya
ye hawa ko bhi kahan ma'lum hai
kaun is chaukhaT pe patte dhar gaya
sari taswiren nai shaklon mein thin
ba'd muddat jab wo apne ghar gaya
ek parinda lauT aaya shaKH par
chahchahon se mera aangan bhar gaya
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 26)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.