aankh tar ho to nazar aae nazara us ka
aañkh tar ho to nazar aa.e nazāra us kā
rabt isī mauj meñ mumkin hai hamārā us kā
dil se dil tak usī ḳhushbū kā 'amal jaarī hai
dil se dil tak jo 'ilāqa hai vo saarā us kā
rauzan-e-shab se haTātā huuñ maiñ parda jab bhī
merā ziina utar aatā hai sitāra us kā
kisī lamhe meñ ravāñ mauj-e-tapāñ hai us kī
kisī sā'at meñ chamaktā hai kināra us kā
hameñ andāza hai us shaḳhs kī hairānī kā
ham jo ā.īne meñ karte haiñ nazāra us kā
dīda-e-nam to use naqd-e-nazar hai goyā
kabhī hañstā hai to baḌhtā hai ḳhasāra us kā
aankh tar ho to nazar aae nazara us ka
rabt isi mauj mein mumkin hai hamara us ka
dil se dil tak usi KHushbu ka 'amal jari hai
dil se dil tak jo 'ilaqa hai wo sara us ka
rauzan-e-shab se haTata hun main parda jab bhi
mera zina utar aata hai sitara us ka
kisi lamhe mein rawan mauj-e-tapan hai us ki
kisi sa'at mein chamakta hai kinara us ka
hamein andaza hai us shaKHs ki hairani ka
hum jo aaine mein karte hain nazara us ka
dida-e-nam to use naqd-e-nazar hai goya
kabhi hansta hai to baDhta hai KHasara us ka
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 60)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.