aankhon ko pur-nam hasrat ka darwaza wa rakkha hai
āñkhoñ ko pur-nam hasrat kā darvāza vā rakkhā hai
apne TuuTe ḳhvāb ko ham ne ab tak zinda rakkhā hai
'ishq kiyā to Tuut ke jī bhar nafrat kī to shiddat se
apne har kirdār kā chehra ham ne ujlā rakkhā hai
jo aayā bāzār meñ vo bas jāñch-parakh kar chhoḌ gayā
ham ne ḳhud ko soch-samajh kar thoḌā mahñgā rakkhā hai
thā e'lān kahānī meñ ik roz nadī bhī aa.egī
ham ne is ummīd meñ ab tak ḳhud ko pyāsā rakkhā hai
aksar shīrīñ kī chāhat ne koh-kanī karvā.ī hai
aksar parbat ke siine par ham ne tesha rakkhā hai
ham se bāteñ karne vaale uljhan meñ paḌ jaate haiñ
ham ne apne andar ḳhud ko itnā bikhrā rakkhā hai
tum ne lahja mīThā rakh kar tīkhī bāteñ bolī haiñ
ham ne bāteñ mīThī kī haiñ lahja tīkhā rakkhā hai
duniyā vāloñ ne to puurī koshish kī Thukrāne kī
lekin apnī zid meñ ham ne ḳhud ko manvā rakkhā hai
aankhon ko pur-nam hasrat ka darwaza wa rakkha hai
apne TuTe KHwab ko hum ne ab tak zinda rakkha hai
'ishq kiya to Tut ke ji bhar nafrat ki to shiddat se
apne har kirdar ka chehra hum ne ujla rakkha hai
jo aaya bazar mein wo bas jaanch-parakh kar chhoD gaya
hum ne KHud ko soch-samajh kar thoDa mahnga rakkha hai
tha e'lan kahani mein ek roz nadi bhi aaegi
hum ne is ummid mein ab tak KHud ko pyasa rakkha hai
aksar shirin ki chahat ne koh-kani karwai hai
aksar parbat ke sine par hum ne tesha rakkha hai
hum se baaten karne wale uljhan mein paD jate hain
hum ne apne andar KHud ko itna bikhra rakkha hai
tum ne lahja miTha rakh kar tikhi baaten boli hain
hum ne baaten miThi ki hain lahja tikha rakkha hai
duniya walon ne to puri koshish ki Thukrane ki
lekin apni zid mein hum ne KHud ko manwa rakkha hai
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 61)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.