aansu aansu hone ko
aañsū aañsū hone ko
kitnā kuchh hai rone ko
phuul ne badle rang ka.ī
tere jaisā hone ko
tum ko pā kar sochtā huuñ
kitnā kuchh hai khone ko
ik do aañsū kaafī haiñ
ġham kā chehra dhone ko
kuchh yādeñ phūloñ jaisī
kuchh patthar haiñ Dhone ko
shaam ko girya kaun kare
raat paḌī hai rone ko
baiThe-baiThe taak liyā
ghar ke kone kone ko
aansu aansu hone ko
kitna kuchh hai rone ko
phul ne badle rang kai
tere jaisa hone ko
tum ko pa kar sochta hun
kitna kuchh hai khone ko
ek do aansu kafi hain
gham ka chehra dhone ko
kuchh yaaden phulon jaisi
kuchh patthar hain Dhone ko
sham ko girya kaun kare
raat paDi hai rone ko
baiThe-baiThe tak liya
ghar ke kone kone ko
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 24)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.