aasmanon ko tah-e-ab nahin kar sakte
āsmānoñ ko tah-e-āb nahīñ kar sakte
sail-e-girya tujhe sailāb nahīñ kar sakte
bujhte jaate haiñ charāġh aaj havā kī zad par
raat ko sīna-e-mahtāb nahīñ kar sakte
aisī vo kaun sī shai hai jo tasavvur meñ nahīñ
aisā kyā hai ki mire ḳhvāb nahīñ kar sakte
muntazir hai to rahe pairahan-e-nikhat-o-nūr
itnī 'ujlat mire asbāb nahīñ kar sakte
lutf-o-rāhat kī havas hai to kisī shahr ko jā
ye karam dasht ke ādāb nahīñ kar sakte
aasmanon ko tah-e-ab nahin kar sakte
sail-e-girya tujhe sailab nahin kar sakte
bujhte jate hain charagh aaj hawa ki zad par
raat ko sina-e-mahtab nahin kar sakte
aisi wo kaun si shai hai jo tasawwur mein nahin
aisa kya hai ki mere KHwab nahin kar sakte
muntazir hai to rahe pairahan-e-nikhat-o-nur
itni 'ujlat mere asbab nahin kar sakte
lutf-o-rahat ki hawas hai to kisi shahr ko ja
ye karam dasht ke aadab nahin kar sakte
- Book : Ishq (Pg. 96)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.