aaya nahin hai ab bhi rafugar hawas mein
aayā nahīñ hai ab bhī rafūgar havās meñ
paivand itne lagne the mere libās meñ
do-chār dukh kā itnā tamāsha jahāñ-panāh
itne to ham ne jhele haiñ pahlī class meñ
tujh se bichhaḌ ke silsila TuuTā na 'ishq se
kuchh phuul ab bhī rakkhe haiñ TuuTe gilās meñ
tark-e-ta'alluqāt meñ tāḳhīr mat karo
kaḌvī davā.ī piite haiñ bas ek saañs meñ
is daur-e-nāgavār meñ ham sā vafā-parast
ik aadh hī milegā kahīñ sau pachās meñ
aaya nahin hai ab bhi rafugar hawas mein
paiwand itne lagne the mere libas mein
do-chaar dukh ka itna tamasha jahan-panah
itne to hum ne jhele hain pahli class mein
tujh se bichhaD ke silsila TuTa na 'ishq se
kuchh phul ab bhi rakkhe hain TuTe gilas mein
tark-e-ta'alluqat mein taKHir mat karo
kaDwi dawai pite hain bas ek sans mein
is daur-e-nagawar mein hum sa wafa-parast
ek aadh hi milega kahin sau pachas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.