Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab dil mein tere tir ka paikan nahin raha

Afsar Merathi

ab dil mein tere tir ka paikan nahin raha

Afsar Merathi

MORE BYAfsar Merathi

    ab dil meñ tere tiir paikāñ nahīñ rahā

    kyūñkar jiyūñ ki ziist sāmāñ nahīñ rahā

    gardūñ samt dekh ke ruḳhsat huā marīz

    jab koī us ke haal pursāñ nahīñ rahā

    tāroñ ne kar diyā tirī vahshat raaz faash

    ai raat terā husn bhī pinhāñ nahīñ rahā

    mujh par to terī aañkh ne phir kar ġhazab kiyā

    maiñ lutf-gīr-e-gardish-e-daurāñ nahīñ rahā

    fasl-e-bahār mirī vahshat ne ḳhabar

    ab dil sambhālnā mujhe āsāñ nahīñ rahā

    ai yaas ne aa ke sahārā diyā mujhe

    jab koī mere haal pursāñ nahīñ rahā

    pichhle pahar shikast āvāz aa.ī hai

    TuuTā hai dil ki zabt imkāñ nahīñ rahā

    ab dil meñ tere tiir ke paikāñ yaad hai

    go dil meñ tere tiir paikāñ nahīñ rahā

    hañste haiñ phuul zaḳhm pe dushman hai bāġhbāñ

    gulshan meñ bahalne sāmāñ nahīñ rahā

    jo dard ne jis ko diyā vaah re asar

    us dard jahān meñ darmāñ nahīñ rahā

    vahshat bharī nigāh ne vīrān kar diyā

    ab kyā karūñ vo rañg-e-gulistāñ nahīñ rahā

    hasrat ne be-kasī meñ kafan ban ke Dhak liyā

    ab lāsha mujh ġharīb uryāñ nahīñ rahā

    'afsar' mushā.eron meñ hai kyoñ merī justujū

    maiñ to mushā.eron meñ ġhazal-ḳhvāñ nahīñ rahā

    ab dil mein tere tir ka paikan nahin raha

    kyunkar jiyun ki zist ka saman nahin raha

    gardun ki samt dekh ke ruKHsat hua mariz

    jab koi us ke haal ka pursan nahin raha

    taron ne kar diya teri wahshat ka raaz fash

    ai raat tera husn bhi pinhan nahin raha

    mujh par to teri aankh ne phir kar ghazab kiya

    main lutf-gir-e-gardish-e-dauran nahin raha

    fasl-e-bahaar ki meri wahshat ne di KHabar

    ab dil sambhaalna mujhe aasan nahin raha

    ai yas tu ne aa ke sahaara diya mujhe

    jab koi mere haal ka pursan nahin raha

    pichhle pahar shikast ki aawaz aai hai

    TuTa hai dil ki zabt ka imkan nahin raha

    ab dil mein tere tir ke paikan ki yaad hai

    go dil mein tere tir ka paikan nahin raha

    hanste hain phul zaKHm pe dushman hai baghban

    gulshan mein ji bahalne ka saman nahin raha

    jo dard tu ne jis ko diya wah re asar

    us dard ka jahan mein darman nahin raha

    wahshat bhari nigah ne viran kar diya

    ab kya karun wo rang-e-gulistan nahin raha

    hasrat ne be-kasi mein kafan ban ke Dhak liya

    ab lasha mujh gharib ka uryan nahin raha

    'afsar' mushaeron mein hai kyon meri justuju

    main to mushaeron mein ghazal-KHwan nahin raha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now