ab ghar chalen miyan ki bahut der ho gai
ab ghar chaleñ miyāñ ki bahut der ho ga.ī
ham ko sadā.eñ de ke har ik raah so ga.ī
āvārgī kī shakl meñ tanhā.ī thī mirī
duniyā milī mujhe to mirī zaat kho ga.ī
kyā kyā na zaḳhm sabt mirī rūh-o-dil pe the
ashkoñ kī ek lahr sabhī daaġh dho ga.ī
kis ke ḳhayāl ne mujhe ḳhushbū kiyā ki aaj
bād-e-sabā mujhe bhī guloñ meñ piro ga.ī
phir us ke baa'd paar utarnā rahā na yaad
ik lahr mujh ko dariyā meñ aise Dubo ga.ī
ab ghar chalen miyan ki bahut der ho gai
hum ko sadaen de ke har ek rah so gai
aawargi ki shakl mein tanhai thi meri
duniya mili mujhe to meri zat kho gai
kya kya na zaKHm sabt meri ruh-o-dil pe the
ashkon ki ek lahr sabhi dagh dho gai
kis ke KHayal ne mujhe KHushbu kiya ki aaj
baad-e-saba mujhe bhi gulon mein piro gai
phir us ke ba'd par utarna raha na yaad
ek lahr mujh ko dariya mein aise Dubo gai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 34)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.