ab jo guzar rahi hai ye to guzar nahin hai

ab jo guzar rahi hai ye to guzar nahin hai
Ravindra Chaswal Rafeeq
MORE BYRavindra Chaswal Rafeeq
ab jo guzar rahī hai ye to guzar nahīñ hai
ik raat kī siyāhī jis kī sahar nahīñ hai
merā hī 'azm mujh se nazreñ churā rahā hai
ab sāmnā kare kyā us meñ hunar nahīñ hai
ab dekh dekh us ko hai chain chain mujh ko
us se haTā sakūñ jo aisī nazar nahīñ hai
tum ham-qadam bano to duniyā na.ī basā leñ
roke hameñ zamāna itnā jigar nahīñ hai
ik laash ban chukā par hastī nahīñ miTī thī
vo soch ban gayā huuñ jis se mafar nahīñ hai
aao 'rafīq' DhūñDheñ us paikar-e-ġhazal ko
vaisā tire jahāñ meñ kyā ham-safar nahīñ hai
ab jo guzar rahi hai ye to guzar nahin hai
ek raat ki siyahi jis ki sahar nahin hai
mera hi 'azm mujh se nazren chura raha hai
ab samna kare kya us mein hunar nahin hai
ab dekh dekh us ko hai chain chain mujh ko
us se haTa sakun jo aisi nazar nahin hai
tum ham-qadam bano to duniya nai basa len
roke hamein zamana itna jigar nahin hai
ek lash ban chuka par hasti nahin miTi thi
wo soch ban gaya hun jis se mafar nahin hai
aao 'rafiq' DhunDhen us paikar-e-ghazal ko
waisa tere jahan mein kya ham-safar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.