ab kahan koi pas hai rahbar
ab kahāñ koī paas hai 'rahbar'
dil mirā bas udaas hai 'rahbar'
hai koī merā bhī jahāñ meñ ḳhaas
bas mujhe us kī aas hai 'rahbar'
'ishq hai be-karāñ mujhe us se
dil mirā fan-shanās hai 'rahbar'
merī ulfat kā kyoñ yaqīn nahīñ
rab hī to ik shanās hai 'rahbar'
hai bahut ḳhush vo chhoḌ kar mujh ko
mujh ko hosh-o-havās hai 'rahbar'
ruuTh jā.egā mujh se 'rahbar' vo
dil meñ ḳhauf-o-hirās hai 'rahbar'
ab kahan koi pas hai 'rahbar'
dil mera bas udas hai 'rahbar'
hai koi mera bhi jahan mein KHas
bas mujhe us ki aas hai 'rahbar'
'ishq hai be-karan mujhe us se
dil mera fan-shanas hai 'rahbar'
meri ulfat ka kyon yaqin nahin
rab hi to ek shanas hai 'rahbar'
hai bahut KHush wo chhoD kar mujh ko
mujh ko hosh-o-hawas hai 'rahbar'
ruTh jaega mujh se 'rahbar' wo
dil mein KHauf-o-hiras hai 'rahbar'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.