ab wo aalam hai ki diwar na dar aata hai
ab vo 'ālam hai ki dīvār na dar aatā hai
dil ye kahtā hai Thahar jā mirā ghar aatā hai
zindagī yūñhī masāfat meñ basar hotī huī
ik safar ḳhatm huā ek safar aatā hai
ek khiḌkī khulī rahtī hai nazar meñ har dam
ek manzar pas-e-manzar bhī nazar aatā hai
'āshiqī meñ sabhī bebāk hue jaate haiñ
ab zamāne meñ kise 'arz-e-hunar aatā hai
ab wo 'alam hai ki diwar na dar aata hai
dil ye kahta hai Thahar ja mera ghar aata hai
zindagi yunhi masafat mein basar hoti hui
ek safar KHatm hua ek safar aata hai
ek khiDki khuli rahti hai nazar mein har dam
ek manzar pas-e-manzar bhi nazar aata hai
'ashiqi mein sabhi bebak hue jate hain
ab zamane mein kise 'arz-e-hunar aata hai
- Book : Ishq (Pg. 113)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.