aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh

Saima Aftab

abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh

Saima Aftab

MORE BYSaima Aftab

    abas vajūd dukh tañgī-e-hayāt dukh

    ki dil ne paalā huā hai har ek zaat dukh

    talāsh-e-jannat-o-dozaḳh meñ rā.egāñ insāñ

    zamīñ pe roz manātā hai kā.enāt dukh

    ka.ī jhameloñ meñ uljhī bad-maza chaa.e

    udaas mez pe daftar ke kāġhzāt dukh

    ga.e dinoñ koī ḳhvāb dafn hai shāyad

    ki ab bhī aañkh se ristā hai bāqiyāt dukh

    maiñ aal se huuñ shah-e-karbalā so mujh ko

    chanāb se bhī milā hai vahī furāt dukh

    na jaane mālik-e-kun kis tarah nibhātā hai

    ye dastaras suhūlat ye mumkināt dukh

    abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh

    ki dil ne pala hua hai har ek zat ka dukh

    talash-e-jannat-o-dozaKH mein raegan insan

    zamin pe roz manata hai kaenat ka dukh

    kai jhamelon mein uljhi si bad-maza chae

    udas mez pe daftar ke kaghzat ka dukh

    gae dinon ka koi KHwab dafn hai shayad

    ki ab bhi aankh se rista hai baqiyat ka dukh

    main aal se hun shah-e-karbala ki so mujh ko

    chanab se bhi mila hai wahi furaat ka dukh

    na jaane malik-e-kun kis tarah nibhata hai

    ye dastaras ki suhulat ye mumkinat ka dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now